Pyar, Ishq, Aur Mohabbat
- pagesbyankita
- Jul 16, 2023
- 1 min read
Pyar, ishq, aur mohabbat mein kya farak hota hai?
Jab mere khayal apne aap hi tumhari taraf chal base to wo pyar hota hai
Jab meri har kalam tumhari khubsurati ko anjaam dene mein khatm ho jati hai to wo ishq hota hai
Jab har ful ki sahi jagah bas tumhari baalon mein nazar aati hai to wo mohabbat hota hai
Jab tumhari ek jhalak ke liye ghar tak ka lamba rasta chunu to wo pyar hota hai
Jab tumhare kisi ek shaam milne ke vaade mein main apna har shaam barbaad karu to wo ishq hota hai
Jab tumhari har muskurahat ki wajah banna chahu to wo mohabbat hota hai
Magar pyar, ishq, aur mohabbat mein kya farak hota hai,
Isse mere naadaan dil ko kya farak padta hai?
Comments